roshani dekhkar pakadana chaha,
par wo to tuta hua tara tha.
hanskar dosti karni hamne chahi,
par dushman ye zamana sara tha.
_____________________________________
is kadar chha gaye wo ham pe,
ki hum khud ko yaad na rahe.
ye hi guzaarish hai khuda se,
meri zindagi unke baad na rahe.
_____________________________________
har kadam ko unki aahat samaj baithe,
wo hase aur hum mohabbat samaj baithe,
aaj nind se jaage to maloom hua ki,
ham to khwab ko hi haqiqat samaj baithe.
_____________________________________
Wednesday, January 6, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment